** All material -Concept and Title is a registered trademark of Sushma Prod. Company **
Wo shivrtatri ka antim prahar tha, kshudha say vyakul tan nay prebhu alap chheda huya tha. Mein bhi kuch dharmik unmaad mein duba huya sa, bum bum jap raha tha. Sadhna shayad kuch kachhi rah gayi thi. Ekaik train rukne ki awaaz ne meree tandra todee, arey ye log kyon hadbadee mein jaa rahey hain. shayad mere , gantavya sthaan aa gaya, par sab sab itne ghabraye huye kyon hain. Pata nahi, itna soch hi raha tha, ki anayaas kadam chal padey luggage coach se seedhey bahar.
shant gambhir mudra mein, jyon hi mein bahar aaya, to dekha ki manushya samaan ki tarah bahar padey hain, kisi ka muuh band hain, to kisi ke hath, sab rassiyon se jakde huye, mujhe nirih pashuu ki tarah taakney lagey.
kuch achraj hona to swabhawik hi tha, aakhir, mujh me bhi kahin aam aadmi chhipa hain. Dil ke kisi maayus kone se shayad aaj bhi mein aam hoon. kherr, dhatt! se padee awaaj, aur us awaaj se uthne waali assahay peeda se me shubdh hoan utha, pichhe dekh paata usse pahle hi kas ke merey haath kisi ney baandh diye, kuch soch paata shayad usse pahle hi menye khud ko us samaan se juda paaya. Ab un logo ki taktaki kuch kam huyi, unki aankhon mein meney aik santushti ka aihsaas sa kiya, wo kya hain naa ki hum bhartiyon ko, khushi hoti hain jab koi hamaree takleef ko samjhey, aur jyada khushi tab hoti hain jab wo samjhne ke sath mahsuus bhi karey. mein to bakayada, uss maar ko mahsus bhi kar raha tha.
Sir ghuma key jo meney peeche dekha, to laathee waaley do dabang, muchheil roubdaar, aadmi, sabko dhakel rahey hain, mein jahan pankti mein sabsey pratham aaya tha wahan mujhey hi sabse last me laga diya gaya, kherr mujhsey kuch puchne ya kuch batlane ki jehmat koun uthatha, mein koi PM ka bhatija, ya Railmantri ka rishtedaar thode hi hoon, aam aadmi hoon, har cheez ki aadat daalni padegee bhaii saheb. Ladkhadatey kadam sey, mein bhi us bhed-chaal me chal pada, pag pag chalti wo bheed, platform ke aik chhotey sey koney me gayab hone lagee, jaise ali baba tilismi gufa me daakhil huya tha. To bhaii saheb, mein bhi wahan pahuch gaya, jahan tak merey baap daadayon tak ki pahuch nahi thi. Fakhr, to bahut hoan raha tha khud par, arey bhaii badey badey neta log jahan jaaney ki purjorr koshish kartey hain, wohi bapu ka mandir, ahaa....... kya bhavya darshan huye merey. mein to sahsa apney bhagya ki sarahna hi kar utha. Kya mejbaanee thi, hayye hayye, aatey hi pyaar se puree bottle paani ki sir par del dee, bhaii neend jo bahut aa rahi thi hamey, subah ke 2 baje they, jagna bh ito jaruri tha, ye baat aur hain ki mein soya nahi tha hafto sey.
Waha jaa kar key jab haath khuley to lambee saans leney mein aasanee huyi. Mein waah waah kar utha prabhu dhanya hoan, meree pratham jail yatra.
kherr, ye to abhi shuruaat thi.
contd. in part 2
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment